Sunday 6 April 2008

Be-sabub Intizaar

Zindagi kay iss safar mai
Chaltey rahey hum aik khoj mai
dhoond tey huwe sahara...

Sahara jo na mila, buss toot ta hee raha
dubara wa tibaara, haath phailaye huwey
aankho mai jazbaat sajaye huwey
aik aah jisme sab kuch chupaye huwey

intezaar raha ke wo paas ayega
intezaar mai wo pal thum sa jaiga

par wo waqt hee hai kya
jo jiya na hum ney
wo pal hee tha kya
jo mila na humey

intezaar mai ke zindagi dikh laigee rung
waqt ney jo diya, bus wo tha sirf ghum

husney kee umeed ko thukra key gaya
behtey huwey aansu bikhra key gaya
umeed bhara dil pathar sa huwa
iss durr mai ke phir rona na pudey

Zindagi key iss safar mai
Chaltey rahey hum aik khoj mai
Sirf Na-umeed huwey, Be-sahara...

No comments: